Akbar Allahabadi

jahan mein haal mera is qadar zabun hua

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
jahāñ meñ haal mirā is qadar zabūn huā
ki mujh ko dekh ke bismil ko bhī sukūn huā
ġharīb dil ne bahut ārzūeñ paidā kiiñ
magar nasīb kā likkhā ki sab kā ḳhuun huā
vo apne husn se vāqif maiñ apnī aql se sair
unhoñ ne hosh sambhālā mujhe junūn huā
ummīd-e-chashm-e-muravvat kahāñ rahī baaqī
zarīya bātoñ kā jab sirf telephone huā
nigāh-e-garm christmas meñ bhī rahī ham par
hamāre haq meñ december bhī māh-e-june huā
Top Urdushayar.com