Akbar Allahabadi

KHatm kiya saba ne raqs gul pe nisar ho chuki

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
ḳhatm kiyā sabā ne raqs gul pe nisār ho chukī
josh-e-nashāt ho chukā saut-e-hazār ho chukī
rañg-e-banafsha miT gayā sumbul-e-tar nahīñ rahā
sehn-e-chaman meñ zīnat-e-naqsh-o-nigār ho chukī
masti-e-lāla ab kahāñ us kā pyāla ab kahāñ
daur-e-tarab guzar gayā āmad-e-yār ho chukī
rut vo jo thī badal ga.ī aa.ī bas aur nikal ga.ī
thī jo havā meñ nik.hat-e-mushk-e-tatār ho chukī
ab tak usī ravish pe hai 'akbar'-e-mast-o-be-ḳhabar
kah de koī azīz-e-man fasl-e-bahār ho chukī
Top Urdushayar.com