Akbar Allahabadi

har qadam kahta hai tu aaya hai jaane ke liye

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
har qadam kahtā hai tū aayā hai jaane ke liye
manzil-e-hastī nahīñ hai dil lagāne ke liye
kyā mujhe ḳhush aa.e ye hairat-sarā-e-be-sabāt
hosh uḌne ke liye hai jaan jaane ke liye
dil ne dekhā hai bisāt-e-quvvat-e-idrāk ko
kyā baḌhe is bazm meñ āñkheñ uThāne ke liye
ḳhuub ummīdeñ bañdhīñ lekin huiiñ hirmāñ nasīb
badliyāñ uTThīñ magar bijlī girāne ke liye
saañs kī tarkīb par miTTī ko pyaar aa hī gayā
ḳhud huī qaid us ko siine se lagāne ke liye
jab kahā maiñ ne bhulā do ġhair ko hañs kar kahā
yaad phir mujh ko dilānā bhuul jaane ke liye
dīda-bāzī vo kahāñ āñkheñ rahā kartī haiñ band
jaan hī baaqī nahīñ ab dil lagāne ke liye
mujh ko ḳhush aa.ī hai mastī shaiḳh jī ko farbahī
maiñ huuñ piine ke liye aur vo haiñ khāne ke liye
allāh allāh ke sivā āḳhir rahā kuchh bhī na yaad
jo kiyā thā yaad sab thā bhuul jaane ke liye
sur kahāñ ke saaz kaisā kaisī bazm-e-sāma.īn
josh-e-dil kaafī hai 'akbar' taan uḌāne ke liye
Top Urdushayar.com