Akbar Allahabadi

dil-e-mayus mein wo shorishen barpa nahin hotin

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
dil-e-māyūs meñ vo shorisheñ barpā nahīñ hotīñ
umīdeñ is qadar TūTīñ ki ab paidā nahīñ hotīñ
mirī betābiyāñ bhī juzv haiñ ik merī hastī kī
ye zāhir hai ki maujeñ ḳhārij az dariyā nahīñ hotīñ
vahī pariyāñ haiñ ab bhī raajā indar ke akhāḌe meñ
magar shahzāda-e-gulfām par shaidā nahīñ hotīñ
yahāñ kī auratoñ ko ilm kī parvā nahīñ be-shak
magar ye shauharoñ se apne be-parvā nahīñ hotīñ
ta.alluq dil kā kyā baaqī maiñ rakkhūñ bazm-e-duniyā se
vo dilkash sūrateñ ab anjuman-ārā nahīñ hotīñ
huā huuñ is qadar afsurda rañg-e-bāġh-e-hastī se
havā.eñ fasl-e-gul kī bhī nashāt-afzā nahīñ hotīñ
qazā ke sāmne be-kār hote haiñ havās 'akbar'
khulī hotī haiñ go āñkheñ magar biinā nahīñ hotīñ
Top Urdushayar.com