Akbar Allahabadi

KHushi hai sab ko ki operation mein KHub nishtar ye chal raha hai

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
ḳhushī hai sab ko ki operation meñ ḳhuub nishtar ye chal rahā hai
kisī ko is kī ḳhabar nahīñ hai marīz kā dam nikal rahā hai
fanā isī rañg par hai qaa.im falak vahī chaal chal rahā hai
shikasta o muntashir hai vo kal jo aaj sāñche meñ Dhal rahā hai
ye dekhte ho jo kāsa-e-sar ġhurūr-e-ġhaflat se kal thā mamlū
yahī badan naaz se palā thā jo aaj miTTī meñ gal rahā hai
samajh ho jis kī balīġh samjhe nazar ho jis kī vasī.a dekhe
abhī yahāñ ḳhaak bhī uḌegī jahāñ ye qulzum ubal rahā hai
kahāñ kā sharqī kahāñ kā ġharbī tamām dukh sukh hai ye masāvī
yahāñ bhī ik bā-murād ḳhush hai vahāñ bhī ik ġham se jal rahā hai
urūj-e-qaumī zavāl-e-qaumī ḳhudā kī qudrat ke haiñ karishme
hamesha radd-o-badal ke andar ye amr political rahā hai
maza hai spēch kā dinner meñ ḳhabar ye chhaptī hai pionēr meñ
falak kī gardish ke saath hī saath kaam yāroñ kā chal rahā hai
Top Urdushayar.com