halqe nahīñ haiñ zulf ke halqe haiñ jaal ke
haañ ai nigāh-e-shauq zarā dekh-bhāl ke
pahuñche haiñ tā-kamar jo tire gesū-e-rasā
ma.anī ye haiñ kamar bhī barābar hai baal ke
bos-o-kanār-o-vasl-e-hasīnāñ hai ḳhuub shaġhl
kamtar buzurg hoñge ḳhilāf is ḳhayāl ke
qāmat se tere sāne-e-qudrat ne ai hasīñ
dikhlā diyā hai hashr ko sāñche meñ Dhaal ke
shān-e-dimāġh ishq ke jalve se ye baḌhī
rakhtā hai hosh bhī qadam apne sambhāl ke
zīnat muqaddama hai musībat kā dahr meñ
sab sham.a ko jalāte haiñ sāñche meñ Dhaal ke
hastī ke haq ke sāmne kyā asl-e-īn-o-āñ
putle ye sab haiñ aap ke vahm-o-ḳhayāl ke
talvār le ke uThtā hai har tālib-e-faroġh
daur-e-falak meñ haiñ ye ishāre hilāl ke
pechīda zindagī ke karo tum muqaddame
dikhlā hī degī maut natīja nikāl ke