apnī girah se kuchh na mujhe aap dījiye
aḳhbār meñ to naam mirā chhāp dījiye
dekho jise vo pionēr office meñ hai DaTā
bahr-e-ḳhudā mujhe bhī kahīñ chhāp dījiye
chashm-e-jahāñ se hālat-e-aslī chhupī nahīñ
aḳhbār meñ jo chāhiye vo chhāp dījiye
da.avā bahut baḌā hai riyāzī meñ aap ko
tūl-e-shab-e-firāq ko to naap dījiye
sunte nahīñ haiñ shaiḳh na.ī raushnī kī baat
engine kī un ke kaan meñ ab bhaap dījiye
is but ke dar pe ġhair se 'akbar' ne kah diyā
zar hī maiñ dene laayā huuñ jaan aap dījiye