Akbar Allahabadi

falsafi ko bahs ke andar KHuda milta nahin

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
falsafī ko bahs ke andar ḳhudā miltā nahīñ
Dor ko suljhā rahā hai aur sirā miltā nahīñ
ma.arifat ḳhāliq kī aalam meñ bahut dushvār hai
shahr-e-tan meñ jab ki ḳhud apnā patā miltā nahīñ
ġhāfiloñ ke lutf ko kaafī hai duniyāvī ḳhushī
āqiloñ ko be-ġham-e-uqbā mazā miltā nahīñ
kashti-e-dil kī ilāhī bahr-e-hastī meñ ho ḳhair
nāḳhudā milte haiñ lekin bā-ḳhudā miltā nahīñ
ġhāfiloñ ko kyā sunā.ūñ dāstān-e-ishq-e-yār
sunñe vaale milte haiñ dard-āshnā miltā nahīñ
zindagānī kā mazā miltā thā jin kī bazm meñ
un kī qabroñ kā bhī ab mujh ko patā miltā nahīñ
sirf zāhir ho gayā sarmāya-e-zeb-o-safā
kyā ta.ajjub hai jo bātin bā-safā miltā nahīñ
puḳhta tabaoñ par havādis kā nahīñ hotā asar
kohsāroñ meñ nishān-e-naqsh-e-pā miltā nahīñ
shaiḳh-sāhib barhaman se laakh barteñ dostī
be-bhajan gaa.e to mandir se Tikā miltā nahīñ
jis pe dil aayā hai vo shīrīñ-adā miltā nahīñ
zindagī hai talḳh jiine kā mazā miltā nahīñ
log kahte haiñ ki bad-nāmī se bachnā chāhiye
keh do be us ke javānī kā mazā miltā nahīñ
ahl-e-zāhir jis qadar chāheñ kareñ bahs-o-jidāl
maiñ ye samjhā huuñ ḳhudī meñ to ḳhudā miltā nahīñ
chal base vo din ki yāroñ se bharī thī anjuman
haa.e afsos aaj sūrat-āshnā miltā nahīñ
manzil-e-ishq-o-tavakkul manzil-e-ezāz hai
shaah sab baste haiñ yaañ koī gadā miltā nahīñ
baar taklīfoñ kā mujh par bār-e-ehsāñ se hai sahl
shukr kī jā hai agar hājat-ravā miltā nahīñ
chāñdnī rāteñ bahār apnī dikhātī haiñ to kyā
be tire mujh ko to lutf ai mah-laqā miltā nahīñ
ma.anī-e-dil kā kare iz.hār 'akbar' kis tarah
lafz mauzūñ bahr-e-kashf-e-mudda.ā miltā nahīñ
Top Urdushayar.com