aap bhī us husn ko ab phuul kahiye
dekhiye nāzuk badan sab phuul kahiye
lagtī hai qaus-e-quzah aariz pe shabnam
barg-e-gul jaise haiñ vo lab phuul kahiye
phuul se hī hotī hai tamsīl us kī
rashk kartā hai chaman jab phuul kahiye
baat merī aap ab bhī jo na maane
titlī jab chūme use tab phuul kahiye
rāt-rānī ban vo aa.e ḳhvāb meñ phir
mahkī in sāñsoñ ko har shab phuul kahiye
haath meñ us ke 'azal' ne de diyā gul
faisla kariye kise ab phuul kahiye