Baqar Mehdi

is darja hua KHush ki Dara dil se bahut main

Baqar Mehdi

Rudauli, Uttar pradesh, India

1927-2006
is darja huā ḳhush ki Darā dil se bahut maiñ
ḳhud toḌ diyā baḌh ke tamannāoñ kā dhāgā
taaki na banūñ phir kahīñ ik banda-e-majbūr
haañ qaid-e-mohabbat se yahī soch ke bhāgā
Thokar jo lagī apne azā.em ne sambhālā
maiñ ne to kabhī koī sahārā nahīñ māñgā
chaltā rahā maiñ ret pe pyāsā tan-e-tanhā
bahtī rahī kuchh duur pe ik pyaar kī gañgā
maiñ tujh ko magar jaan gayā sham-e-tamannā
samjhī thī ki jal jā.egā shā.er hai patiñgā
āñkhoñ meñ abhī tak hai ḳhumār-e-ġham-e-jānāñ
jaise ki koī ḳhvāb-e-mohabbat se hai jaagā
jo ḳhud ko badal dete haiñ is daur meñ 'bāqar'
karte haiñ haqīqat meñ vo sone pe suhāgā
Top Urdushayar.com