Ashutosh Mishra Azal

panw ke chhaalon ki qimat jaanta hai buDha peD

Ashutosh Mishra Azal

Bihar, India

1989
paañv ke chhāloñ kī qīmat jāntā hai būḌhā peḌ
ik musāfir kī musībat jāntā hai būḌhā peḌ
bojh lāshoñ kā uThānā hai use to aur abhī
jo kisānoñ kī hai hālat jāntā hai būḌhā peḌ
gar jaḌeñ mazbūt ho to āñdhiyoñ kā ḳhauf kyā
rakhnī hai miTTī se nisbat jāntā hai būḌhā peḌ
vo badalte mausamoñ se bhī kabhī haarā nahīñ
dukh se hī hai sukh kī lazzat jāntā hai būḌhā peḌ
dekhtā hai jab gale kaTte hue ahbāb ke
aane vaalī hai qayāmat jāntā hai būḌhā peḌ
phūñkte ham jā rahe haiñ ghar hamārā aap hī
peḌ haiñ dhartī kī daulat jāntā hai būḌhā peḌ
Top Urdushayar.com