ajab uljhan hai jo samjhā nahīñ huuñ
jahāñ hotā huuñ maiñ hotā nahīñ huuñ
hiqārat se mujhe kyuuñ dekhtā hai
batā kyā maiñ tire jaisā nahīñ huuñ
vo merī baat jab suntā nahīñ hai
jo mere dil meñ hai kahtā nahīñ huuñ
ta.alluq toḌtā huuñ dushmanoñ se
kabhī yāroñ se maiñ laḌtā nahīñ huuñ
jahāñ izzat nahīñ miltī hai mujh ko
vahāñ par maiñ kabhī jaatā nahīñ huuñ
ravānī meñ mujhe rahnā paḌegā
maiñ dariyā huuñ koī sahrā nahīñ huuñ
bhaḌaktā huuñ maiñ apnī lau se 'gauhar'
kisī kī aag se jaltā nahīñ huuñ