pighaltī sham.a se maiñ ḳhud ko be-ḳhabar kar luuñ
ġhazal ko fikr kī hiddat se mo'atabar kar luuñ
safar tavīl hai lekin yuuñ muḳhtasar kar luuñ
maiñ apnī dūrī-e-manzil ko ham-safar kar luuñ
fusūn-e-shab ko nigāhoñ se muttasil kar ke
hudūd-e-ḳhvāb ko vābasta-e-sahar kar luuñ
falak pe chāñd sitāre hasad se jalte haiñ
maiñ apnī quvvat-e-parvāz muḳhtasar kar luuñ