Khawar Naqeeb

jagti aankhon se wabasta diya mange hai

Khawar Naqeeb

jāgtī āñkhoñ se vābasta diyā māñge hai
vaqt-e-ummīd basārat kī duā māñge hai
gard-ālūd fazāoñ meñ bhaTaktā mausam
gum-shuda lamha se ḳhud apnā patā māñge hai
aks-dar-aks haqīqat kī lakīreñ raushan
ḳhvāb-dar-ḳhvāb koī husn-e-adā māñge hai
apnī majrūh nigāhoñ kā safar hai jaarī
justujū karb-e-masāfat kī davā māñge hai
munsif-e-vaqt kī maġhrūr samā.at 'ḳhāvar'
gūñge mujrim se sadāqat kī navā māñge hai
Top Urdushayar.com