Bismil Saeedi

naya saman hai naya ek jahan hai aur hum hain

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
nayā samāñ hai nayā ik jahāñ hai aur ham haiñ
na.ī zamīn nayā āsmāñ hai aur ham haiñ
na.e maqām na.e marhale na.ī rāheñ
na.e irāde nayā kārvāñ hai aur ham haiñ
hamāre naqsh-e-qadam haiñ ye mehr-o-māh-o-nujūm
hamārī raah sar-e-kahkashāñ hai aur ham haiñ
vo jis hayāt pe thī marg-e-nā-gahāñ taarī
vahī hayāt hai aur jāvedāñ hai aur ham haiñ
ga.ī vo qissa-e-ahd-e-kuhan kī baat ga.ī
nayā zamāna na.ī dāstāñ hai aur ham haiñ
ham apne sūd-o-ziyāñ ke haiñ aap zimmedār
hamārā suud hamārā ziyāñ hai aur ham haiñ
vahī qafas jo kabhī āshiyāñ hamārā thā
vahī qafas hai ki ab āshiyāñ hai aur ham haiñ
hue haiñ dair-o-haram se hamāre kuchh paimāñ
hamāre un ke ḳhudā darmiyāñ hai aur ham haiñ
har ek rañg ke phuul us meñ haiñ sharīk-e-bahār
hamārā mushtarak ik gulistāñ hai aur ham haiñ
hameñ bhī zehn-o-fikr apne badalne haiñ 'bismil'
na.e ḳhayāl kā hindostāñ hai aur ham haiñ
Top Urdushayar.com