vo aarzū vo tamannā vo iztirāb nahīñ
maiñ ab vahāñ huuñ jahāñ koī bāryāb nahīñ
tirī nazar hai jise inqalāb kahte haiñ
tirī nazar ke sivā koī inqalāb nahīñ
tirī nigāh kī shauq-āfrīniyāñ tauba
jo kāmyāb hai vo bhī to kāmyāb nahīñ
ġham-e-firāq kī be-kaifiyāñ ḳhudā kī panāh
sharāb meñ bhī to kaifiyyat-e-sharāb nahīñ
mujhe pukār rahe haiñ sanam-kade vaale
mirī duā.eñ jo ka.abe meñ mustajāb nahīñ
sab inqalāb the un kī nigāh phirne tak
ab āsmān kī gardish meñ inqalāb nahīñ
jab iltifāt na thā ishtiyāq rahtā thā
ab iltifāt huā hai to dil ko taab nahīñ
vahīñ se uThte haiñ har inqalāb ke bādal
vo mai-kada ki jahāñ koī inqalāb nahīñ
mirī nazar ko na thī taab un ke jalvoñ kī
ab un ke jalvoñ ko merī nazar kī taab nahīñ
badal ga.e haiñ shab-o-roz-e-zindagī 'bismil'
vo māhtāb nahīñ ab vo āftāb nahīñ