Bismil Saeedi

faraham jis qadar ishrat ke saman hote jate hain

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
farāham jis qadar ishrat ke sāmāñ hote jaate haiñ
sukūn-e-rūh se mahrūm insāñ hote jaate haiñ
kabhī tarz-e-taġhāful the yahī andāz-e-mahbūbī
jo ab sarf-e-navāzish-hā-e-pinhāñ hote jaate haiñ
shabāb-o-husn-e-roz-afzūñ kā un ke kuchh ye aalam hai
ki ham sharminda-e-shauq-e-farāvāñ hote jaate haiñ
abhī jām-e-mai-e-rañgīñ lab-e-lālīñ tak aayā hai
magar āñkhoñ meñ maiḳhāne se ġhaltāñ hote jaate haiñ
fazā-e-ḳhuld par jaise ghaTā.eñ chhā.ī jaatī hoñ
ruḳh-e-gul-rañg par gesū pareshāñ hote jaate haiñ
nafas kī āmad-o-shud kā ye aalam hai judā.ī meñ
ki nashtar jaise paivast-e-rag-e-jāñ hote jaate haiñ
ta.ālallāh faiz-e-bāġhbāñ 'bismil' ta.ālallāh
ḳhas-o-ḳhāshāk-e-gulshan gul-ba-dāmāñ hote jaate haiñ
Top Urdushayar.com