Bismil Saeedi

meri tarah koi na-kaamyab ho na saka

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
mirī tarah koī nā-kāmyāb ho na sakā
kisī nigāh meñ bhī intiḳhāb ho na sakā
ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ bhī kāmyāb ho na sakā
mirā ḳhayāl kabhī un kā ḳhvāb ho na sakā
chaman hazār ba-ra.anā.ī-e-bahār rahā
tumhārā husn tumhārā shabāb ho na sakā
mirī nigāh ke andāz-e-shauq jab dekhe
hijāb kar na sake vo hijāb ho na sakā
jahān-e-ishq meñ vo ham-mizāj-e-fitrat huuñ
mire ḳhilāf koī inqalāb ho na sakā
kahāñ vo ahd-e-shabāb aur talātum-e-jazbāt
sukūñ-pazīr kabhī iztirāb ho na sakā
nigāh-e-shauq se jab tak na chheḌ-chhāḌ huī
tirā shabāb mukammal shabāb ho na sakā
nigāh-e-shoḳh kī bebākiyāñ koī dekhe
ki jaise koī kabhī kāmyāb ho na sakā
harīm-e-nāz kī allāh re rif.ateñ 'bismil'
ḳhayāl meñ bhī koī bāryāb ho na sakā
Top Urdushayar.com