Bismil Saeedi

jab kabhi dair-o-haram Takrae mai-KHanon ke sath

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
jab kabhī dair-o-haram Takrā.e mai-ḳhānoñ ke saath
sarf-e-gardish kar diyā saaqī ne paimānoñ ke saath
husn bhī kambaḳht kab ḳhālī hai soz-e-ishq se
sham.a bhī to rāt-bhar jaltī hai parvānoñ ke saath
roz mai-ḳhvāroñ kī qismat ke sitāre shaam se
jagmagā uThte haiñ jaag uThte haiñ mai-ḳhānoñ ke saath
gardish-e-gardūñ ḳhalal-andāz mai-ḳhāna ho kyā
vaqt rahtā hai yahāñ gardish meñ paimānoñ ke saath
aql apnoñ se bhī aksar bach ke chaltī hai zarā
ishq hī kambaḳht ho jaatā hai begānoñ ke saath
kis qadar ḳhush-fahm the jo log agle vaqt meñ
masjideñ banvā diyā karte the but-ḳhānoñ ke saath
tā-na-bāshad chiiz ke mardum na-goyad chīz-hā
kuchh haqīqat bhī huā kartī hai afsānoñ ke saath
munfa.il kartā hai bismil vo junūñ ko aql se
koī farzāna jo ho jaatā hai dīvānoñ ke saath
Top Urdushayar.com