baiThā nahīñ huuñ sāya-e-dīvār dekh kar
Thahrā huā huuñ vaqt kī raftār dekh kar
ham-mashrabī kī sharm gavārā na ho sakī
ḳhud chhoḌ dī hai shaiḳh ko mai-ḳhvār dekh kar
kyā dekhtā hai ai dil-e-mushtāq-e-dīd ab
ham ne to kah diyā thā ḳhabar-dār dekh kar
aane lagī hai ishq ko ġhairat par apnī sharm
shāyad tirī nigāh ko bezār dekh kar
kyā kyā fareb-e-aql diye un kī bazm ne
mere junūñ ko mahram-e-asrār dekh kar
kyā jaane bahr-e-ishq meñ kitne hue haiñ ġharq
sāhil se sat.h aab ko hamvār dekh kar
duniyā kī zindagī kā tasavvur hai sub.h-e-hashr
jaagā huuñ ḳhud ko ḳhvāb meñ bedār dekh kar
haiñ aaj tak nigāh meñ hālāñki aaj tak
dekhā na phir kabhī unheñ ik baar dekh kar
dast-e-vafā se dāman-e-dil ko chhuḌā liyā
ahl-e-havas ne ishq ko dushvār dekh kar
'bismil' tum aaj rote ho anjām-e-ishq ko
ham kal samajh ga.e the kuchh āsār dekh kar