aaj kuchh kahne ko thī shoḳhī-e-tadbīr mirī
hañs paḌī paas khaḌī thī kahīñ taqdīr mirī
TūTte hī se huī dil meñ kashākash paidā
merī taḳhrīb meñ poshīda thī ta.amīr mirī
hurriyat zulmat-e-zindāñ meñ janam letī hai
inqilābāt kī tārīḳh hai zanjīr mirī
apnī jānib kabhī dekhā hī nahīñ thā varna
vus.ateñ donoñ jahānoñ kī haiñ jāgīr mirī
dostī kaisī rah-o-rasm-e-umūmī bhī ga.ī
pyaar kī baat kahī aap se taqsīr mirī
maiñ kahāñ aap kahāñ diid kī ummīd kahāñ
yaad aa.uuñ jo kabhī dekhiye tasvīr mirī
ibrat-āmoz hai duniyā kā taġhayyur 'jāmī'
mujh se miltī nahīñ do roz kī tasvīr mirī