us kī chashm-e-karam thī hayāt-āfrīñ ḳhushk pattoñ pe jaise nikhār aa gayā
aarzū ke shagūfe mahakne lage dil kī be-chainiyoñ ko qarār aa gayā
dasht-e-ġhurbat meñ bhī zānū-e-dost par merī tanhā.ī ko ye ta.assur huā
bhūlā-bhaTkā huā ik musāfir koī yak-ba-yak jaise apne dayār aa gayā
umr-bhar fikr-e-duniyā meñ ġhaltāñ rahe maare maare phire muft rusvā hue
zindagī daf.atan zindagī ban ga.ī chaar āñkheñ huiiñ dil meñ pyaar aa gayā
bāñkpan un kā mash.hūr thā merī dīvāngī par hamesha hañse
lekin āñkhoñ se aañsū chhalakne lage sāmne jab hamārā mazār aa gayā
jāntā huuñ kudūrat burī chiiz hai aap se dushmanī kī tavaqqo na thī
duur honā bahut is kā dushvār hai dil ke ā.īne meñ jab ġhubār aa gayā
zaḳhm bharne lage dard tham sā gayā ik sahārā milā dil ko Dhāras bañdhī
us ke qaul-o-qasam meñ bhī ik baat thī jo bhī us ne kahā e'tibār aa gayā