Jami Rudaulvi

har tar-e-nafas Khaar hai malum nahin kyun

Jami Rudaulvi

Rudauli, Uttar pradesh, India

1924
har tār-e-nafas ḳhaar hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
āsān bhī dushvār hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
sau baar marūñ aur jiyūñ tab unheñ pā.ūñ
dil is pe bhī tayyār hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
sau tarah ke ārām mayassar sahī lekin
dil jiine se bezār hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
jo lazzatī-e-jaur-o-jafā thā usī dil par
ik shoḳh-nazar baar hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
ik baar milī un se nazar pī nahīñ koī
phir bahkī sī raftār hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
sau jaan se ham jis pe fidā hote haiñ din-rāt
vo darpai-e-āzār hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
'jāmī' vo muḳhātab haiñ magar arz-e-tamannā
phir bhī mujhe dushvār hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
Top Urdushayar.com