aatī hai zindagī meñ ḳhizāñ bhī bahār bhī
sehn-e-chaman meñ phuul bhī hote haiñ ḳhaar bhī
nārāzgī na ho to mohabbat hai be-maza
hastī ḳhushī bhī ġham bhī hai nafrat bhī pyaar bhī
be-e'tinā.iyoñ meñ bhī hai chāshnī kā lutf
hotā hai iltifāt kabhī nāgavār bhī
chhoḌā na ḳhauf-e-hijr ne dāman tamām raat
āġhosh-e-pur-sukūñ meñ thā dil be-qarār bhī
armāñ kā ḳhuuñ samāj kī talvār ne kiyā
majbūr maslahat se huā iḳhtiyār bhī
mehnat kī saḳht dhuup meñ pīpal kī chhāñv meñ
hai dasht-e-ġham meñ abr-e-karam kī phuvār bhī
har-chand be-dareġh bahā ḳhūn-e-ārzū
lekin huā hai dāman-e-dil lāla-zār bhī
ganjīna-e-sifāt hai us kī har ek baat
sūrat bhī guftugū bhī adā bhī shi.ār bhī
añgūr ke ye baaġh lab-e-jū ye chahchahe
hogā yahīñ kahīñ pe hamārā mazār bhī
'jāmī' pe kyā banegī ḳhudā jaane hashr meñ
jannat kī aarzū hai gunāhoñ se pyaar bhī