dil meñ un ko basā ke dekh liyā
aag ghar meñ lagā ke dekh liyā
zindagānī vabāl-e-dosh huī
dil kī bātoñ meñ aa ke dekh liyā
ashk bhar laa.ī haiñ mirī āñkheñ
us ne jab muskurā ke dekh liyā
aur ab kis kā e'tibār kareñ
dil ko apnā banā ke dekh liyā
un kī aadat hai muskurā denā
ham ne aañsū bahā ke dekh liyā
ham ko jaadū kā e'tibār na thā
un se nazreñ milā ke dekh liyā
ġhuncha-e-dil kabhī khilā hī nahīñ
bārhā muskurā ke dekh liyā
iḳhtisār-e-javāb ke qurbāñ
muskurā muskurā ke dekh liyā
kaam aatī nahīñ vafā 'jāmī'
bārhā aazmā ke dekh liyā