fareb-e-aql meñ majnūn-e-ishq aa na sakā
bhulā diyā use āñkhoñ ne dil bhulā na sakā
faroġh-e-husn se rāteñ vo jagmagā na sakā
harīm-e-ishq meñ jo sham-e-dil jalā na sakā
bhulā diyā ho kabhī yaad kar ke mumkin hai
magar maiñ bhuul ke tujh ko kabhī bhulā na sakā
na dil milā na milīñ dil kī lazzateñ us ko
jo tere dard-e-mohabbat ko dil banā na sakā
diye javāb mirī ma.asiyat ke rahmat se
ham us ko bhuul ga.e vo hameñ bhulā na sakā
mujhe junūn-e-mohabbat ne us jahāñ meñ rakhā
ki jis jahāñ meñ koī inqalāb aa na sakā
guzar gayā hai mohabbat meñ ik vo aalam bhī
ki muddatoñ mujhe tū ḳhud bhī yaad aa na sakā
tajalliyāñ use apnī nazar jab aane lagīñ
nigāh-e-ishq meñ phir husn bhī samā na sakā
udhar karishma-e-husn un kī pāk-dāmānī
idhar ye haal ki īmāñ koī bachā na sakā
quyūd-e-ishq se shāhid guzar gayā ho koī
hudūd-e-husn se lekin nikal ke jā na sakā
na ban gayā ho tirā ishq-e-iztirāb kahīñ
tasalliyoñ se tirī iztirāb jā na sakā
guzar ga.ī thī tire saath zindagī kuchh din
phir us ke ba.ad maza zindagī kā aa na sakā
hamesha dair-o-haram meñ haiñ shorisheñ jis se
vo inqalāb kabhī mai-kade meñ aa na sakā
tamām-umr ko jab ho ga.e the vo mere
tamām-umr kabhī phir vo vaqt aa na sakā
ajiib chiiz hai hastī kī nīstī 'bismil'
ki jo yahāñ se gayā phir kabhī vo aa na sakā