dil ko bachā ke laa.e the saare jahāñ se ham
āḳhir meñ choT khā ga.e ik mehrbāñ se ham
be-fikryoñ kā raaj ho rassa-kashī ke saath
vo madrasa hayāt kā laa.eñ kahāñ se ham
ab gard bhī hamārī na pā.eñge qāfile
aage nikal ga.e haiñ bahut kārvāñ se ham
apnā shumār hī nahīñ phūloñ meñ baaġh ke
aise meñ kyā ummīd kareñ bāġhbāñ se ham
'jāmī' vatan meñ apne musāfir thī zindagī
london meñ bin-bulā.e hue mehmāñ se ham