javāñ thā dil na thā andesha-e-sūd-o-ziyāñ pahle
vo the kyā mehrbāñ saarā jahāñ thā mehrbāñ pahle
koī manzil ho himmat chāhiye sar ho hī jaatī hai
magar luTte haiñ raste meñ hazāroñ kārvāñ pahle
vo mīr-e-kārvāñ bhī ik na ik din ho ke rahte haiñ
jinhoñ ne muddatoñ chhānī hai ḳhāk-e-kārvāñ pahle
ḳhudī jaagī uThe parde ujāgar ho ga.iiñ rāheñ
nazar kotāh thī tārīk thā saarā jahāñ pahle
vahī barq-e-tajallī sham.a hai mere shabistāñ kī
na lā saktī thī jis kī taab shāḳh-e-āshiyāñ pahle
huuñ ab bhī pā-ba-gil tāham bahut parvāz kī maiñ ne
vo ab merī zamīñ hai thā jo merā āsmāñ pahle
nihāñ thiiñ dar-ba-dar kī Thokaroñ meñ azmateñ 'jāmī'
na thā is darja aa.alī terā andāz-e-bayāñ pahle