Bilal Ahmad

ris raha hai muddat se koi pahla gham mujh mein

Bilal Ahmad

1979
ris rahā hai muddat se koī pahlā ġham mujh meñ
rāsta banātā hai āñsuoñ kā nam mujh meñ
tujh se yuuñ shahanshāhā ho to kyā shikāyat ho
gaah shor karte haiñ tere besh o kam mujh meñ
maiñ vo lauh-e-sāda huuñ jo tujhe ayaañ kar de
raushnī ke ḳhat meñ hai ik nafas raqam mujh meñ
umr kī udāsī ke dūsre kināre par
ek ajnabī chehra ho rahā hai zam mujh meñ
tai huā ki marnā to lāzmī natīja hai
ghūñT ghūñT girtā hai zindagī kā sam mujh meñ
Top Urdushayar.com