ajal kī phūñk mire kaan meñ sunā.ī dī
jab us ne shab ke thake diip ko rihā.ī dī
darūn-e-ḳhāk rahā kārvān-e-nik.hat-o-rañg
numū ne sabr kiyā āḳhirash duhā.ī dī
ulajh rahā thā abhī ḳhvāb kī fasīl se maiñ
ki nā-rasā.ī ne ik shab mujhe rasā.ī dī
havā kā safha-e-larzāñ banāne vaale ne
mizha kī nok pe ashkoñ kī raushnā.ī dī
phir ek shab ye huā ḳhvāb ke shajar se pare
hazār rañg kī āvāz ik dikhā.ī dī
ajiib Dhañg se taqsīm-e-kār kī us ne
so jis ko dil na diyā us ko dilrubā.ī dī
sanā usī kī jo muhtāj-e-harf-o-saut nahīñ
ki jis ne ashk ke lahje meñ nam-navā.ī dī