Bismil Saeedi

mani-o-mafhum kya hon ishq ke mazmun mein

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
ma.anī-o-mafhūm kyā hoñ ishq ke mazmūn meñ
jis tarah koī ḳhayāl aa.e dil-e-majnūn meñ
ishq se hotī hai is shiddat kī garmī ḳhuun meñ
khaultā hai jaise dariyā dopahar ko june meñ
jism meñ rag rag phaḌak uThtī hai soz-e-ishq se
garm-e-tuġhiyāñ jis tarah amvāj hoñ jaijūn meñ
husn se vāzeh huī hai ma.anaviyyat ishq kī
shāmil-e-mafhūm hai unvān bhī mazmūn hai
yuuñ to haiñ ajzā bahut se shāmil-e-tarkīb-e-ishq
aarzū lekin sar-e-dārū hai is ma.ajūn meñ
is tarah huuñ qaidī-e-hālāt 'bismil' jis tarah
sher ho pinjre meñ yā shāh-e-zafar rañgūn meñ
Top Urdushayar.com