ik dikhāvā rah gayā bas dil se vo chāhat ga.ī
qais sahrā meñ gayā to ġhairat-e-vahshat ga.ī
ek hālat thī mirī aur ek hālat dil kī thī
merī hālat to vahī hai dil kī vo hālat ga.ī
chāñd ne dil kī ḳhalish ko chāñdnī kī shakl dī
haa.e merī be-dilī se kaisī shai ġhārat ga.ī
mahmil-e-lailā ke pīchhe gard thī aur qais thā
is sarāb-e-ārzū meñ hijr kī izzat ga.ī
ek kāñTe kī khaTak se dil mirā ābād thā
vo gayā to dil se mere dard kī rāhat ga.ī
bas burī niyyat ke phal kā ik kasīlā zā.iqa
ishq goyā rizq thā niyyat ga.ī barkat ga.ī