Bismil Saeedi

sar jis pe na jhuk jae use dar nahin kahte

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
sar jis pe na jhuk jaa.e use dar nahīñ kahte
har dar pe jo jhuk jaa.e use sar nahīñ kahte
kyā ahl-e-jahāñ tujh ko sitamgar nahīñ kahte
kahte to haiñ lekin tire muñh par nahīñ kahte
ka.abe meñ musalmān ko kah dete haiñ kāfir
but-ḳhāne meñ kāfir ko bhī kāfir nahīñ kahte
rindoñ ko Darā sakte haiñ kyā hazrat-e-vā.iz
jo kahte haiñ allāh se Dar kar nahīñ kahte
har baar na.e shauq se hai arz-e-tamannā
sau baar bhī ham kah ke mukarrar nahīñ kahte
mai-ḳhāne ke andar bhī vo kahte nahīñ mai-ḳhvār
jo baat ki mai-ḳhāne ke bāhar nahīñ kahte
kahte haiñ mohabbat faqat us haal ko 'bismil'
jis haal ko ham un se bhī aksar nahīñ kahte
Top Urdushayar.com