yaad terī dilā rahe haiñ mujhe
chāñd taare jalā rahe haiñ mujhe
pahle duniyā satā rahī thī mujhe
aap bhī ab satā rahe haiñ mujhe
dekhiye phir se be-ḳhayālī meñ
aap phir gungunā rahe haiñ mujhe
rote dekhā thā maañ ko bachpan meñ
ab vo aañsū rulā rahe haiñ mujhe
sunte rahte the jo mujhe ghanToñ
kitnī bāteñ sunā rahe haiñ mujhe
ek guḌiyā huuñ mom kī maiñ 'sabīn'
aap patthar banā rahe haiñ mujhe