nahīñ ma.alūm pā.eñge sukūñ ahl-e-jahāñ kab tak
ḳhudā jaane rahegā is zamīñ par āsmāñ kab tak
ye afsāna abhī to zer-e-unvān-e-karam bhī hai
sunā.e jā.ūñ maiñ un ke sitam kī dāstāñ kab tak
qafas meñ to mujhe jab tak bhī rahnā ho magar yārab
tasavvur meñ mire jaltā rahegā āshiyāñ kab tak
zamīr ālūda-e-bātil zabāñ āzurda-e-nā-haq
tirī mahfil meñ rah kar ham milā.eñ haañ meñ haañ kab tak
ġhazab hai Thes lagnā ishq kī ḳhuddār fitrat ko
bas ai chashm-e-karam ab iltifāt-e-rā.egāñ kab tak
dil-e-māyūs meñ kuchh ḳhār-e-hasrat se khaTakte haiñ
ḳhudā jaane raheñgī raakh meñ chiñgāriyāñ kab tak
nahīñ jab pās-e-va.ada to mukar bhī jāoge ik din
badal jā.egā jab dil to na badlegī zabāñ kab tak
kabhī ummīd kī nazroñ se dekh apnī taraf 'bismil'
nigāh-e-yās se dekhegā sū-e-asmāñ kab tak