SabeenSaif

umr bhar bojh uThaya to nahin ja sakta

SabeenSaif

umr bhar bojh uThāyā to nahīñ jā saktā
har ta.alluq ko nibhāyā to nahīñ jā saktā
aap is baar bhī dīvār meñ chunvā deñ mujhe
ab ke bhī sar ye jhukāyā to nahīñ jā saktā
roz marne kā hunar jis ne sikhāyā hai mujhe
us kā ehsān bhulāyā to nahīñ jā saktā
chashm-e-bīnā hai magar aql se nā-bīnā haiñ
aa.ina un ko dikhāyā to nahīñ jā saktā
tum ne ik umr mire dil pe hukūmat kī hai
tum ko pal bhar meñ bhulāyā to nahīñ jā saktā
jin ko alfāz se Dasne kā hunar aatā hai
haath ab un se milāyā to nahīñ jā saktā
jis qadar sañg-zanī chāhiye kar leñ mujh par
sañg-zādī ko rulāyā to nahīñ jā saktā
hoñ makīñ jin meñ ka.ī saal se zinda lāsheñ
un makānoñ ko sajāyā to nahīñ jā saktā
jis kī ḳhāmoshī meñ aaseb sukūñ karte hoñ
aisā vīrāna basāyā to nahīñ jā saktā
tū but-e-ishq nahīñ tū to ḳhudā hai merā
ab tujhe haath lagāyā to nahīñ jā saktā
Top Urdushayar.com