baat kyā hai ye batā.eñ to sahī
guftugū aage baḌhā.eñ to sahī
jaan jā.eñge kharā khoTā hai kyā
aap mujh ko āzmā.eñ to sahī
uñgliyāñ uTTheñgī chāroñ aap par
aap ik uñglī uThā.eñ to sahī
banda-parvar nā-umīdī kufr hai
ik diyā phir se jalā.eñ to sahī
chāñd taare muntazir haiñ aap ke
āsmāñ tak aap jaa.eñ to sahī
vasl kar degā ḳhizāñ ko fasl-e-gul
phuul bāloñ meñ lagā.eñ to sahī
dekhiye suniye are jaane bhī deñ
aap mere saath aa.eñ to sahī
ḳhud ko rakh kar bhuul baiThī huuñ kahīñ
maiñ kahāñ huuñ kuchh batā.eñ to sahī
aap to bas ghar banā kar rah ga.e
aap is ghar ko basā.eñ to sahī
chuTkiyoñ meñ bhuul jā.ūñgī unheñ
ab mujhe vo yaad aa.eñ to sahī
niiñd āñkhoñ se ḳhafā ho jā.egī
ḳhvāb palkoñ par sajā.eñ to sahī
jaan le lūñgī qasam allāh kī
bhuul kar mujh ko bhulā.eñ to sahī
āzmāne ke liye qismat 'sabīn'
dil ko daav par lagā.eñ to sahī