ik be-hunar huuñ aur hunar chāhtī huuñ maiñ
ab dhuup ke safar meñ shajar chāhtī huuñ maiñ
tanhā.iyoñ kā ḳhauf hai ghere hue mujhe
apnī galī se us kā guzar chāhtī huuñ maiñ
likkhā hai apne naam se apne pate pe ḳhat
muddat ke ba.ad apnī ḳhabar chāhtī huuñ maiñ
ye Thiik hai ki tum se mohabbat nahīñ mujhe
ye bhī hai Thiik tum ko magar chāhtī huuñ maiñ
hai kyā ajab ki tark-e-ta.alluq ke bāvajūd
chehre pe apne us kī nazar chāhtī huuñ maiñ