ġham nahīñ nāz-e-husn hai husn ke naaz uThā.e jā
ai dil-e-mubtalā-e-ġham ġham meñ bhī muskurā.e jā
husn hai ishq-e-āfrīñ husn pe dil luTā.e jā
ishq ko dard-e-dil banā dard ko dil banā.e jā
jalva-ba-jalva gar nahīñ parda-ba-parda aa.e jā
dil meñ mire samā.e jā ruuh meñ jagmagā.e jā
shorish-e-kā.enāt meñ ġham ko ḳhushī banā.e jā
hañs mire āñsuoñ meñ tū aah meñ muskurā.e jā
tāroñ meñ jagmagā.e jā chāñd meñ muskurā.e jā
duur se koī naġhma-e-rūh-fazā sunā.e jā
zabt ba-qadr-e-zarf hai zarf ba-qadr-e-shauq hai
tū abhī sāmne na aa shauq abhī baḌhā.e jā
bāhama tark-e-rasm-o-rāh kuchh to ho iltifāt bhī
tū mujhe bhuul jā magar yaad mujhe tū aa.e jā
husn se baḌh ke bad-gumāñ ishq hai apne aap se
maiñ abhī mutma.in nahīñ tū mujhe āzmā.e jā
sirf jabīn-e-shauq ho aur kisī kā āstāñ
sajde bhī darmiyāñ na huuñ sajdoñ ko bhī miTā.e jā
bazm-e-nashāt-e-kā.enāt mujh pe hai ḳhanda-zan hanūz
ḳhalvat-e-ġham meñ tū abhī aur mujhe rulā.e jā
ab na vo 'bismil' aur na tū ab na vo dil na aarzū
ab to ḳhudā ke vāste yaad use na aa.e jā