Farrukh Zohra Gilani

dayar-e-fikr-o-hunar ko nikhaarne wala

Farrukh Zohra Gilani

dayār-e-fikr-o-hunar ko nikhārne vaalā
kahāñ gayā mirī duniyā sañvārne vaalā
phir us ke baad kabhī lauT kar nahīñ aayā
vafā ke rañg nazar meñ utārne vaalā
mujhe yaqīñ hai ki ḳhushbū kā ham-safar hogā
gulāb husn-e-mohabbat ke vārne vaalā
hamārī diid ko raqs-e-sharār chhoḌ gayā
judā.iyoñ kī shab-e-ġham guzārne vaalā
abhī talak hai sadā pāniyoñ pe Thahrī huī
agarche Duub chukā hai pukārne vaalā
Top Urdushayar.com