Khanjar Ghazipuri

aadmi KHud ko bhala kaise bacha le jaega

Khanjar Ghazipuri

aadmī ḳhud ko bhalā kaise bachā le jā.egā
jis jagah marnā hai us ko hādisa le jā.egā
maiñ agar tūfān se bach bhī gayā to kyā huā
merī kashtī ko bhañvar meñ nā-ḳhudā le jā.egā
aaj phir zaḳhm-e-jigar taaza hai pahle kī tarah
aaj phir mujh ko tirā ġham mai-kada le jā.egā
aaḌ meñ tafrīh kī tum chhoḌ do aiyyāshiyāñ
varna phir paanī samundar kā bahā le jā.egā
aadmī ke saath jā.eñge faqat us ke amal
aur apne saath vo duniyā se kyā le jā.egā
kis liye fariyād le ke jā.ūñ maiñ munsif ke paas
jab sitamgar apne haq meñ faisla le jā.egā
soch ai insāñ tirī hastī kī hai kitnī bisāt
tujh ko jab tūfāñ kā ik jhoñkā uḌā le jā.egā
us ke sar pe āfiyat kā sā.ebāñ hogā zarūr
saath jo ḳhanjar buzurgoñ kī duā le jā.egā
Top Urdushayar.com