us ke partav se huā hai zāfrānī rañg kā
ā.īna to aaj bhī hai kahkashānī rañg kā
hijr ke bādal chhaTe to vasl kī taqvīm meñ
dil huvaidā ho rahā hai gulsitānī rañg kā
pairahan us kā hai aisā yā jhalaktā hai badan
ik parī-vash raqs meñ hai urġhuvānī rañg kā
aaj kī shab ḳhaas hogī jab sunā.ūñgā use
ek qissa apnā zaatī dāstānī rañg kā
dostoñ kī mehrbānī se huā ye kaam bhī
maiñ ne dekhā hī nahīñ thā ḳhuun paanī rañg kā
gar diloñ se yuuñ dhuāñ uThtā rahegā raat din
āsmāñ kaise bachegā āsmānī rañg kā
haañ usī ne phuul Tāñke hoñge in ashjār par
jis ne miTTī ko diyā hai jubba dhānī rañg kā