kabhī kabhī ye sūnā-pan khal jaatā hai
bas ik lamha aatā hai Tal jaatā hai
tujh se mujh ko bair sahī par kabhī kabhī
duniyā terā jaadū bhī chal jaatā hai
jaan liyā hai lekin mānñā baaqī hai
tū saaya hai aur saaya Dhal jaatā hai
ik din maiñ ashkoñ meñ yuuñ ghul jā.ūñgā
jaise kāġhaz bārish meñ gal jaatā hai
kis ke qabze meñ hai ḳhazāna ujāloñ kā
kaun zamīñ par tārīkī mal jaatā hai
is ko terī yaad kahūñ yā apnī yaad
shaam se pahle ek diyā jal jaatā hai