kyā phir zamīn dil kī namnāk ho rahī hai
ik bel aarzū kī pechāk ho rahī hai
yalġhār kar rahā hai ik raushnī kā lashkar
tārīkiyoñ kī chādar phir chaak ho rahī hai
us ko sikhā rahā hai ayyāriyāñ zamāna
duniyā bhī rafta rafta chālāk ho rahī hai
us ne banā diyā hai mātam-kada jahāñ ko
ḳhilqat fasurdagī kī ḳhūrāk ho rahī hai
us ke sabab se jiinā dushvār ho gayā hai
is baat kī mazammat kyā ḳhaak ho rahī hai