ab ye sifat jahāñ meñ nāyāb ho ga.ī hai
malmal badan pe us ke kam-ḳhvāb ho ga.ī hai
koī pata de us ko merī kitāb-e-jāñ kā
duniyā ke saath vo bhī ik baab ho ga.ī hai
phūloñ-bharī zamīñ ho ḳhushbū-bharī hoñ sāñseñ
ye aarzū bhī merī kyā ḳhvāb ho ga.ī hai
maiñ bas ye kah rahā huuñ rasm-e-vafā jahāñ meñ
bilkul nahīñ miTī hai kamyāb ho ga.ī hai
takmīl pā rahā hai ye kis ke ghar kā naqsha
dīvāreñ uTh chukī haiñ mehrāb ho ga.ī hai
chashme ubal rahe haiñ dasht o jabal se kaise
kyā ye zamīn itnī sairāb ho ga.ī hai