sharāb-e-ishq meñ kyā jaane kyā tāsīr hotī hai
kahīñ ye zahar hotī hai kahīñ iksīr hotī hai
na mafhūm us kā furqat hai na manshā vasl hai us kā
mohabbat asl meñ ik ḳhvāb-e-ḳhud-ta.abīr hotī hai
judā ho kar isī meñ jazb ho jaatī hai phir ik din
mohabbat āftāb-e-husn kī tanvīr hotī hai
mirā zauq-e-nazar ho yā tirā faiz-e-tasavvur ho
mire ā.īne meñ aksar tirī tasvīr hotī hai
shikāyat bhī mohabbat hī meñ dāḳhil hai magar 'bismil'
mohabbat be-niyāz-e-shikva-e-shikva-e-taqdīr hotī hai