Obaid Siddiqi

manzar roz badal deta hun apni narm-KHayali se

Obaid Siddiqi

Meerut, Uttar pradesh, India

1957
manzar roz badal detā huuñ apnī narm-ḳhayālī se
shaam shafaq meñ Dhal jaatī hai rañg-e-hinā kī laalī se
tujh se bichhaḌ kar zinda rahnā apne sog meñ jiinā hai
dil ik phuul thā ḳhushbū vaalā TuuT gayā hai Daalī se
shahr-e-tarab ko jaane kis kī nazar lagī hai aaj kī shab
raste bhī vīrān paḌe haiñ ghar lagte haiñ ḳhālī se
duniyā vaale jis ko aksar ronā-dhonā kahte haiñ
āñkheñ dariyā ban jaatī hai jazboñ kī sayyālī se
dhūl-bhare rastoñ ke safar ne tarz-e-fikr badal Daalā
ḳhauf-zada sī rahne lagī hai ḳhāk-e-badan pāmālī se
Top Urdushayar.com