maiñ fard-e-jurm terī tayyār kar rahā huuñ
ai āsmān sun le hushyār kar rahā huuñ
ik had banā rahā huuñ shahr-e-havas meñ apnī
dar kholne kī ḳhātir dīvār kar rahā huuñ
ma.alūm hai na hogī puurī ye aarzū bhī
phir dil ko be-sabab kyuuñ bīmār kar rahā huuñ
phūloñ-bharī ye shāḳheñ bāñhoñ sī lag rahī haiñ
ab kyā batā.ūñ kis kā dīdār kar rahā huuñ
ye rāste ki jin par chaltā rahā huuñ barsoñ
ā.indagāñ kī ḳhātir hamvār kar rahā huuñ
āsāniyoñ meñ jiinā mushkil sā ho gayā hai
maiñ zindagī ko thoḌā dushvār kar rahā huuñ
saame banā liyā hai rātoñ ko maiñ ne apnā
ġhazleñ sunā sunā ke sarshār kar rahā huuñ