hameñ kuchh aur jiinā hai to dil ko shaad rakkheñge
bahut kuchh bhuul jā.eñge bahut kuchh yaad rakkheñge
abhī kuchh aur kartab dekhne bhī haiñ dikhāne bhī
tamāsha-gāh-e-ālam ham tujhe ābād rakkheñge
agar ghar kā ḳhayāl aayā to rasta bhuul jā.eñge
safar meñ dasht ko jaate hue ham yaad rakkheñge
muqābil ā.eñge har baar taaza hausla le kar
tujhe ham āzmā.ish meñ sitam-ījād rakkheñge
purānī ho ga.ī duniyā use mismār karnā hai
na.ī ta.amīr kī ḳhātir na.ī buniyād rakkheñge