pahle ik mauj-e-havā aatī hai
aur phir ghir ke ghaTā aatī hai
aisā sannāTā kabhī hotā hai
dil dhaḌakne kī sadā aatī hai
zulm ko dekh ke chup rahte haiñ
ham ko jiine se hayā aatī hai
maiñ to ab haath uThātā hī nahīñ
kyā tumheñ koī duā aatī hai
kis liye band kiye baiThe ho
in darīchoñ se havā aatī hai